Download the MP3 Naat Hasbi Rabbi Jallallah by popular artist Aayat Arif. Hasbi Rabbi Jallallah is one of the best MP3 Naats By Aayat Arif. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Hasbi Rabbi Jallallah” Naat.
Hasbi Rabbi Jallallah
Naat Name | Hasbi Rabbi Jallallah |
---|---|
Categories | Aayat Arif |
Format | Audio MP3 (320kbps) |
Feel free to explore the beauty of this Naat through its Significant rendition and meaningful lyrics.
Hasbi Rabbi Jallallah Naat Lyrics
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
Tere sadqe me aaqa sare jahan ko deen mila
Bedeeno ne kalma padha laailaha illallah
Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah
Simt-e-nabi Abu Jehal gaya aaqa se usne ye kaha
Agar ho nabi batlaao zara, meri mutthi me hai kya
Aaqa ka farman hua aur fazl-e-rahmaan hua
Mutthi se patthar bola laailaha illallah
Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah
Wo jo bilal-e-habshi hai, sarwar-e-deen ka pyara hai
Duniya ke har aashiq ki aakhon ka wo tara hai
Zulm hue kitne uspar seene par rakha patthar
Lab par phir bhi jaari tha laailaha illallah
Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah
Apni bahan se bole Umar (ra) ye to bata kya karti thi
Mere aane se pahle kya chupke chupke padhti thi
Bahan ne jab quran padha, sunke kalam-e-paak khuda
Dil ye umar (r.a) ka bol utha laailaha illallah
Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah
Duniya ke insan sabhi shirk-o-bidat karte the
Rab ke the bande phir bhi but ki ibadat karte the
Butkhane hain tharraye mere nabi hain jab aaye
Kahne lagi makhlooq-e-khuda laailaha illallah
Gulshan Kalma padte hein Chidiya Kalma padti hai
Duniya ki Makhluk sabhi Zikr Khuda ka karti hai
Kehte sabhi hein Jinno Bashar Kehta Shajar hai Kehta Hajar
Kehta hai Patta Patta Lailaha Illalallah
Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah