Download the MP3 Manqabat Ya Ali Janam by legendary artist Ahmed Raza Nasiri. Ya Ali Janam is one of the Top MP3 Manqabats By Ahmed Raza Nasiri. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Ya Ali Janam” Manqabat.
Ya Ali Janam
Manqabat Name | Ya Ali Janam |
---|---|
Categories | Ahmed Raza NasiriEid e Ghadeer ManqabatsManqabat |
Format | Audio MP3 (320kbps) |
Feel free to explore the beauty of this Manqabat through its Emotional rendition and meaningful lyrics.
Ya Ali Janam Manqabat Lyrics
Ya Ali Janam
Ya Ali Janam
Jibreel ka rehbar
Waliyo ka muqaddar
Allah bara karta hai usse jo kehta hai har dum
Ya Ali Janam
Allah ki hikmat kehti hai Haider ki hukoomat kiya kehney
Qa’aid ye Muhammad kehte hain Haider ki qayadat kiya kehney
Nabiyo ka sahara
Toofan me kinara
Jo ishq Ali se karta hai wo hota hai be gham
Ya Ali Janam
Kaabe se kabhi jaa kar poocho ye ishq e Ali ki masti hai
Warna koi mujhko samjha de deewar bhala kab hansti hai
Kehta hai ye kaaba
Bus ishq hai sacha
Marwa ki, Safa ki waadi me ye kehta hai zam zam
Ya Ali Janam
Imaan Ali hai kehney se imaan ko lazzat milti hai
Jab Ali ka Buzar hota hai bezar ko bhi izzat milti hai
Imaan ka dam hai
Izzat ka bharam hai
Sooli pe salami dete hain ye keh keh kar Meesam
Ya Ali Janam
Ayat ke seeno me rakh kar sab raaz Ali ki midhat ke
Quran banae hain rab ne alfaz Ali ki midhat ke
Nuqta dar nuqta
Paara dar paara
Quran ki tilawat hoti hai jab bhi kehtey hain hum
Ya Ali Janam
Mola ke muqaabil aane ka anjaam khatam-shud hota hai
Utba, Sheba, Haris, Marhab har naam khatam-shud hota hai
Rab ka hai ghazanfar
Maidan ka safdar
Fin naar Ali ke sab dushman sab dozakh me hain zam
Ya Ali Janam
Tum abd ho or ma’bood hai wo izhaar karo ye Allah se
Jeete hain Ali waale kaisey seekho ye Hassan Nasrullah se
Unke hain muhaafiz
Karte hain jo naafiz
Har waqt zaban par rakhtey hain jo naara Atom bomb
Ya Ali Janam
Labbaik Khuda kehkar haji jab khum ke maidan me pohonche
Palaan ka mimber banwa kar sarkar Muhammad ye bole
Mujhsa hai ye mola
Sabka hai aaqa
Imaan bachana hai jisko wo bole kam se kam
Ya Ali Janam
Kaabe me qasida Haider ka Ahmed ko sunane do Yasir
Mehdi ko zara tum ghaibat ka parda to uthane do Yasir
Goonje gi sadain
Bolaingi Fizaain
Yakjaan pukarainge bande us din jaan e alam
Ya Ali Janam
Ya Ali teri had nahi milti
Teri azmat ki rad nahi milti
Uska jeena muhaal hota hai
Jisko teri madad nahi milti