Download the MP3 Manqabat Ya Hussain Ibn E Ali by renowned artist Bilal Qadri Moosani. Ya Hussain Ibn E Ali is one of the Remarkable MP3 Manqabats By Bilal Qadri Moosani. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Ya Hussain Ibn E Ali” Manqabat.
Ya Hussain Ibn E Ali
Manqabat Name | Ya Hussain Ibn E Ali |
---|---|
Categories | Bilal Qadri MoosaniManqabat |
Format | Audio MP3 (320kbps) |
Feel free to explore the beauty of this Manqabat through its Meaningful rendition and meaningful lyrics.
Ya Hussain Ibn E Ali Manqabat Lyrics
Hussain ya hussain x4
Kullu yawmin ashura, kullu ardin karbala
Hussain ya hussain x2
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali
tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali
tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi
Dasht karbal me tera, laash teeron pe para
Rorahi thi ye zami, aasma rota raha
Haaye madar wo teri, bayn ye karti rahi
Ay mere pyaare hussain, god me aawo zara
Sarakhat fatematah, al Hussainun qatalah
yarqudu alas-seham, waa Habibi waladi
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali
Tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Tere asghar ka gala, tere akbar ka jigar
Bhaayi abbas ke gham, me teri tutti kamar
Aur paamal badan, ran me qasim ka huwa
Eik din me hi luta, karbala me tera ghar
DhubiHoo kullu baneen, tasjudu anta jabeen
tashkuru khaaliqaka, ya ilaaha al-azali
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali
Tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Ran me talwar bina aaye Abbas e Ali
Har taraf hamla huwa, mashke paani bhi chidi
Ankh me teer laga aur paywast huwa
Dono bazu ko kata, ke gira asbe jari
Wa huwa kullu al-wafa, yasrukhu bar wa samaa
saqat Abbas jari, min Hisaanin khashbi
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali
Tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Haaye besheer tera, bezaba qatl huwa
Pyaas ke badl jisse, zulm ka teer mila
Alqama roti rahi, larzi karbal ki zami
Tumne jab uska lahu, apne chehre pe mala
Wa baka nahrul furaat, raahat min jismi hayaat
‘inda waslis sahami, ‘ala Hulqoom iz-zaki
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali
Tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Asr ashur ka waqt, kaise hum bhool sake
Ayi awaaze aza(n), aap gore se gire
Khayme ke darpe teri, behn khu(n) roti rahi
Tha tera paak gala, shimr ke tegh tale
Aktubu kayfa ana, rabbuka yandhurka
thumma Allah yaqool, irji’ee ila rabbuki
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali
Tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Aag se khayme jale, sar se chaadar bhi chhini
Dasht me tanha Sakina teri roti rahi
Toq me bandha gaya, tere Abid ka gala
Teri mazlum behan, berida shaam chali
Ash’alu kullul khiyam, feeha abnaaul imaam
udhhibu ahlan-nabi, ila qasar il-umawi
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali
Tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Tere sajde se bachaa, hai namaaz aur qura(n)
Aaj masjid se jo aati hai awaaze azaa(n)
Humko karbal ne sikhaya hai jine ka hunar
Teri qurbaani se baqi hai ye arz-o-samaa(n)
Ya imaam al-abraar, anta ya bal ahraar
saabirun ibn sabur, ya ameeral al-abadi
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali
Tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Aaj ghar ghar hai saja, tere ghazi ka alam
Umr bhar humko rulaata rahega tera gham
Har gali aur shahr, tera matam hai bapa
Khu(n) bahaate hi rahenge tere naam pe hum
‘umruna feeka fida, ahluna kullu laka,
nadhkurooka sayyidee, ya Hussain ibni ‘Ali
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali
Tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Hai “tejani” ka qalam, aur dil nawha kunaa(n)
Ye muqaddar hi tera, kistarha hoga bayaa(n)
Jalti reyti pe para, tera laasha bekafan
Aapke paak badan, se huwa khun rawaa(n)
Jismuka fawqa turab, wa damun kullu thiyaab
ihtaraq jismuka min, barri wa ash-shamsi ghali
Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali
Tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi x2
Hussain ya hussain x2