Download the MP3 Noha Baba Main Sakina by popular artist Farhan Ali Waris. Baba Main Sakina is one of the Top-notch MP3 Nohas By Farhan Ali Waris. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Baba Main Sakina” Noha.
Baba Main Sakina
Noha Name | Baba Main Sakina |
---|---|
Categories | Farhan Ali WarisNoha |
Format | Audio MP3 (320kbps) |
Feel free to explore the beauty of this Noha through its Passionate rendition and meaningful lyrics.
Baba Main Sakina Noha Lyrics
Baba..
Aye baba, mai sakina
Meri halat zara dekho baba
baal bikhre hai mere
paas se khushk gala
jal gaye khaime sabhi jalgaya mera kurta
baliya'n chin gayi, kano se lahu behta raha
Aye baba..
Mere rukhsar the chote, shimr ka haath bada tha
usne maara jo tamacha, hua zakhmi mera chehra
kya yatimo pe sitam karta hai koi aisa
aapne naam mera rakhha sakina baba
mujhe koi bhi sakina nahi kehta baba
ab mujhe kehte hai sab log yateema baba
Aye baba
Aap ke baad bade zakhm mile hai baba
suno din raat mere kaise kate hai baba
Baba mai sakina, baba mai yateema..(3)
1. Jal gaye,
Jal gaye khaime bhi, asbaab bhi sab loot liya
jhula besheer ka, sajjad ka bistar bhi jala
Shimr ne,
Shimr ne kaano se aye baba gauhar khech liye
aag daaman mein lagi khoon bhara hai kurta
mujhko durro se, tamacho se hai itna maara
pusht zakhmi hai meri, zakhmi hai chehra saara
Baba mai sakina, baba mai yateema..(2)
Aamadam ba tu biguyam che kashidam baba
baad e tu juz ghum o juz ranj na deedam baba
Baba man ruqaiyye, baba man yateemam
(Persian)
2. Baba jaan,
Baba Jaan mann beh suragh at beh biyabaan raftam
Deedamat beesar o bar seenaye to uftadam
Baaz hum,
Baaz hum ta ke ruye seenah to khuaham burd
Yeki anguneh maara zadd keh be khud pecheedam
Dast dar moo ye saram, az to Juda kard mara
Ham beh shallaq zadan dushman bee-dard mara
Baba man ruqaiyye, baba man yateemam
Baba mai sakina, baba mai yateema
3. Dhundhne,
Dhundhne aapko mai dasht e bayaban gayi
aapki khushbu se mai aapko pehchan gayi
Aapke,
Aapke seene pe kuch der ko neend aayi mujhe
shimr ne aise jagaya ke meri jaan gayi
khaich kar baal mere, tumse chhudaya baba
jab mai royi to mujhe durra lagaya baba
Baba mai sakina, baba mai yateema
Baba man ruqaiyye, baba man yateemam
(Persian)
4. Dar safar,
Dar safar zakhmi o ranjeedeh shud in dukht e hazin
Baz ke uftada ham az pusht e shutur ruye zamin
Har kuja,
Har kuja dar safar az pushte shutur uftadam
baba joon naam e tura burdam o faryad zadam
Baba man baad e tu awareh shudam, dar be daram
pas kujayi ke bibini keh cheh aamad beh saram
Baba man ruqaiyye, baba man yateemam
Baba mai sakina, baba mai yateema
5. Raah mein,
Raah mein aapne kya dekha nahi yeh manzar
muh ke bal jab mai giri naaqe se dauran e safar
Pusht bhi,
Pusht bhi zakhmi thi chehra bhi hua phir zakhmi
mere zakhmo me chubhi garm zamee'n ke patthar
aap bhi mujhko na pehchane wo halat thi meri
mai wohi beti hu jo seene pe soti thi kabhi
Baba mai sakina, baba mai yateema..(2)
6. Dum mera,
Dum mera ghut-ta tha jab khichti thi har baar rasan
ladkhadate the qadam chalne na deti thi thakan
Mai kabhi,
Mai kabhi panjo pe chalti thi kabhi kaa'nto par
paao mein chaale the aur chaalo mein hoti thi chubhan
jiteji baat yehi baba mujhe maar gayi
ek mujrim ki tarha baba mai darbaar gayi
Baba mai sakina, baba mai yateema..(2)
7. Ye sitam,
Ye sitam dekhke aye baba mai kyu marr na gayi
aapke sar pe chadi maar ke hasta tha shaqi
Saat sau(700),
Saat sau(700) kursi nashee'n baithe the khamosh sabhi
haay saadat ke haq mein nahi bola koi
bibiyo ne mujhe halqe mein chupaya baba
mujhko zalim ne kanizi mein jo maanga baba
Baba mai sakina, baba mai yateema..(2)
8. Qaid mein,
Qaid mein Mazhar o Farhan sakina ne kaha
sabko zinda'n mein mujhe zere zamee'n qaid kiya
Tha waha'n,
Tha waha'n itna andhera ke mai ghabrati thi
na phuphi saath thi, na amma thi, na bhaiyya mera
aapka sar jo mila baba mujhe chayn mila
ab mile ya na mile mujhko rehayi baba
Baba mai sakina, baba mai yateema..(3)