MP3 Naat » Farhan Ali Waris » Bain Ul Haramain

Bain Ul Haramain

Download the MP3 Noha Bain Ul Haramain by famed artist Farhan Ali Waris. Bain Ul Haramain is one of the Top-notch MP3 Nohas By Farhan Ali Waris. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Bain Ul Haramain” Noha.

Bain Ul Haramain Noha MP3 Download
Noha NameBain Ul Haramain
CategoriesFarhan Ali WarisNoha
FormatAudio MP3 (320kbps)
To download this High-quality MP3 Noha, you can do the following:
  1. Please click the three vertical dots on the mp3 player and then download.
  2. Alternatively, Click on the download button shown above. The file will be automatically downloaded.
  3. Download Bain Ul Haramain

Feel free to explore the beauty of this Noha through its Expressive rendition and meaningful lyrics.

Bain Ul Haramain Noha Lyrics


Bain ul haramain..(8)

Khaimazan ehle jina hai do haram ke darmiya'n

aashiko ke karwa'n hai do haram ke darmiya'n

aasmaa'n wale kaha hai do haram ke darmiya'n

do jaha'n ke do jaha'n hai do haram ke darmiya'n

jis Mohammad se yaha chahe mulaqatein kare

aaiye is arsh par..(2)

Allah se baatein kare

bain ul haramain..(4)

bain ul haramain..(4)

Hai ek taraf Abbas tere..(2)

aur ek taraf hai maula Hussain

bain ul haramain..(4)

Aye arze yaqee'n kaabe ki zameen..(2)

kehti hai tujhe kaaba kausain

bain ul haramain..(4)

Ye zamee'n chaand sitaro'n ki jabee'n lagti hai

kaikasha iske tasadduq mein hasee'n lagti hai

laa makani ki hado'n se ye qaree'n lagti hai

ye to kausain se aage ki zamee'n lagti hai

jo arsh pe tha pehne nalain..(2)

usne bhi utaari hai nalain

bain ul haramain..(4)

Bolne lagti hai khamoshiye jazbaat yaha'n

ishq ki jaayi hai sadiyo se ibadaat yaha'n

saare ashiq hume miljate hai ek saath yaha'n

aur nabiyo'n se bhi hoti hai mulaqaat yaha'n

adam bhi yahi, isa bhi yahi

milte hai yahi par zulqarnain

bain ul haramain..(4)

Is zamee'n par chale aana hi hai me'raj e bashar

sidra e ishq hai kab aam hai ye raah guzar

taere aql ke jalte hai yehi par sheh par

farsh ban jaata hai khud arsh yaha'n par aakar

qadmo se na chal jaa sar ke bal..(2)

rehti hai yaha'n ummul hasnain

bain ul haramain..(4)

Teri qismat se wa qismat ne sitara dekha

khalq karke tujhe khaliq ne dobara dekha

sab zamino'n pe faqat tera ijara dekha

arbaee'n par ye zamane ne nazara dekha

Haan daman mein tere ek saath bhi gar

aaye to samaa jaye kaunain

bain ul haramain..(4)

Sar zamee par tere hoti hai bashar ki me'raj

dekh lena tujhe hoti hai nazar ki me'raj

tujhpe sajde se hua karti hai sar ki me'raj

khatm hai tujhpe balandi ke safar ki me'raj

kya samjhenge wo me'raj teri..(2)

jo samjhe nahi me'raj ki ayn

bain ul haramain..(4)

Kahi jaate hue dekha hi nahi dono ko

ishq ne dekha hai barso se wahi dono ko

suratan jaante hai ehle yaqee'n dono ko

dhundhne jao na duniya mein kahi'n dono ko

ashoor ke din, matam karte

aayenge nazar tumko meerayn

bain ul haramain..(4)

Ek taraf me ghazi ka roza ek taraf sheh ka mazar

ek jaha'n mein dekhe maine do jahan e fatema

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top