Download MP3 Naat Jaga Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai by respected artist Ghulam Mustafa Qadri. Jaga Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai is one of the Remarkable MP3 Naats By Ghulam Mustafa Qadri. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Jaga Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai” Naat.
Jaga Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai
Naat Name | Jaga Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai |
---|---|
Categories | Ghulam Mustafa Qadri |
Format | Audio MP3 (320kbps) |
Feel free to explore the beauty of this Naat through its Significant rendition and meaningful lyrics.
Jaga Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai Naat Lyrics
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Jehan main hain ibrat k her so namoonay
Magar tujh ko andha kiya rang-o-boo nay
Kabhi ghor se bhee yeh dekha hai tu nay
Jo mamoor thay who mehal ab hain soonay
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Mile khak main ahl-e-shan kese kese
Makeen ho gaye la-makan kese kese
Huwe naamwar be nishan kese kese
Zamee kha gayee nojawan kese kese
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Zameen k huwe log paiwand kia kia
Malook-o-huzoor-o-khudawand kia kia
Dikhae ga tu chand roz kia kia
Ajal ne picharay tan-o-mand kia kia
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Ajal ne na kisra hee chora na dara
Isi se sikandar sa fateh bhee hara
Her ek chor k kia kia hasrat se dhara
Para reh gaya sab yahein that sara
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Tujhe pehle bachpan ne barson khilaya
Jawani ne phir tujh ko majnu banaya
Burhape ne phir aa k kia kia sataya
Ajal tera ker de gi bilkul safaya
Yehi tujh ko dhun hai rahoon sab se bala
Ho zeenat nirali, ho fashion nirala
Jiya kerta hai kia yoon hi marne wala
Tujhe husn-e-zahir ne dhokay main dala
Who hai aish-o-ishrat ka koi mehal bhee
Jehan taak main khari ho ajal bhee
Bas ab is jahalat se tu nikal bhee
Yeh tarz-e-mayeeshat ab apna badal bhee
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Yeh duniya-e-fani hai mehboob tujh ko
Huwi wah kia cheze marghoob tujh ko
Nahi aqal itni bhee majzoob tujh ko
Samajh lena ab chahiye khoob tujh ko
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Burhape se pa ker payam-e-kaza bhee
Na chonka na cheetah na sambhla zara bhee
Koi teri ghaflat ki hai inteha bhee
Junoon chor ker ker apnay hosh main aa bhee
Jab is bazm se chal diye dost aksar
Aur uthte chale ja rahe hain barabar
Her waqt paish-e-nazar hai yeh manzar
Yehan per tera dil behelta hai q ker
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Jehan main kahein shor-e-matam bapa hai
Kahein fikr-o-faqa se aah-o-baqa hai
Kahein shikwa jor-o-makr-o-dagha hai
Garz her teraf se yehi bas sada hai
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai