Download MP3 Naat Jagha Ji Lagane ki Duniya Nhi Hai by great artist Ghulam Mustafa Qadri. Jagha Ji Lagane ki Duniya Nhi Hai is one of the Superb MP3 Naats By Ghulam Mustafa Qadri. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Jagha Ji Lagane ki Duniya Nhi Hai” Naat.
Jagha Ji Lagane ki Duniya Nhi Hai
Naat Name | Jagha Ji Lagane ki Duniya Nhi Hai |
---|---|
Categories | Ghulam Mustafa Qadri |
Format | Audio MP3 (320kbps) |
Feel free to explore the beauty of this Naat through its Significant rendition and meaningful lyrics.
Jagha Ji Lagane ki Duniya Nhi Hai Naat Lyrics
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai Jehan main hain ibrat k her so namoonay Magar tujh ko andha kiya rang-o-boo nay Kabhi ghor se bhee yeh dekha hai tu nay Jo mamoor thay who mehal ab hain soonay Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai Mile khak main ahl-e-shan kese kese Makeen ho gaye la-makan kese kese Huwe naamwar be nishan kese kese Zamee kha gayee nojawan kese kese Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai Zameen k huwe log paiwand kia kia Malook-o-huzoor-o-khudawand kia kia Dikhae ga tu chand roz kia kia Ajal ne picharay tan-o-mand kia kia Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai Ajal ne na kisra hee chora na dara Isi se sikandar sa fateh bhee hara Her ek chor k kia kia hasrat se dhara Para reh gaya sab yahein that sara Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai Tujhe pehle bachpan ne barson khilaya Jawani ne phir tujh ko majnu banaya Burhape ne phir aa k kia kia sataya Ajal tera ker de gi bilkul safaya Yehi tujh ko dhun hai rahoon sab se bala Ho zeenat nirali, ho fashion nirala Jiya kerta hai kia yoon hi marne wala Tujhe husn-e-zahir ne dhokay main dala Who hai aish-o-ishrat ka koi mehal bhee Jehan taak main khari ho ajal bhee Bas ab is jahalat se tu nikal bhee Yeh tarz-e-mayeeshat ab apna badal bhee Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai Yeh duniya-e-fani hai mehboob tujh ko Huwi wah kia cheze marghoob tujh ko Nahi aqal itni bhee majzoob tujh ko Samajh lena ab chahiye khoob tujh ko Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai Burhape se pa ker payam-e-kaza bhee Na chonka na cheetah na sambhla zara bhee Koi teri ghaflat ki hai inteha bhee Junoon chor ker ker apnay hosh main aa bhee Jab is bazm se chal diye dost aksar Aur uthte chale ja rahe hain barabar Her waqt paish-e-nazar hai yeh manzar Yehan per tera dil behelta hai q ker Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai Jehan main kahein shor-e-matam bapa hai Kahein fikr-o-faqa se aah-o-baqa hai Kahein shikwa jor-o-makr-o-dagha hai Garz her teraf se yehi bas sada hai Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai