MP3 Naat » Hafiz Ahsan Qadri » Sunte Hain Ke Mehshar Mein

Sunte Hain Ke Mehshar Mein

Download the MP3 Naat Sunte Hain Ke Mehshar Mein by well known artist Hafiz Ahsan Qadri. Sunte Hain Ke Mehshar Mein is one of the Top-notch MP3 Naats By Hafiz Ahsan Qadri. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Sunte Hain Ke Mehshar Mein” Naat.

Sunte Hain Ke Mehshar Mein Naat MP3 Download
Naat NameSunte Hain Ke Mehshar Mein
CategoriesHafiz Ahsan Qadri
FormatAudio MP3 (320kbps)
To download this Top MP3 Naat, you can do the following:
  1. Please click the three vertical dots on the mp3 player and then download.
  2. Alternatively, Click on the download button shown above. The file will be automatically downloaded.
  3. Download Sunte Hain Ke Mehshar Mein

Feel free to explore the beauty of this Naat through its Expressive rendition and meaningful lyrics.

Sunte Hain Ke Mehshar Mein Naat Lyrics


Sunte hain ki mehshar mein sirf unki rasai hai

Gar unki rasaaee hai lo jab to ban aayi hai

Machla hai ki rehmat ne ummeed bandhai hai

Kya baat teri mujrim kya baat banai hai

Sab ne safe mehshar mein lalkaar diya hum ko

Aye bekason ke Aaqa ab teri duhai hai

Yun to sab unhi ka hai par dil ki agar poocho

Yeh toote hue dil hi khaas unki kamai hai

Zaair gaye bhi kab ke din dhalne pe hai pyaare

Uth mere akele chal kya der lagaaee hai

Baazare amal mein toh sauda na bana apna

Sarkar karam tujh mein aibee ki samai hai

Girte huwo ko muzda sajde mein gire Maula

Ro Ro ke shafa’at ki tamheed uthai hai

Aye dil yeh sulagna kya jalna hai to jal bhi uth

Dum ghutne laga zaalim kya dhooni ramai hai

Mujrim ko na sharmao ahbaab kafan dhak do

Muh dekh ke kya hoga parde mein bhalai hai

Ab aap hi sambhalein toh kaam apne sambhal jaayein

Humne to kamai sab khelon mein ganwai hai

Aye ishq tere sadqe jalne se choote saste

Joh aag bujha degi woh aag lagai hai

Hirso hawase bad se dil tu bhi sitam kar le

Tu hi nahi begana dunya hi parai hai

Hum dil jale hain kiske haat fitnon ke parkaale

Kyun foonk du ik uf se kya aag lagai hai

Taiba na sahi Afzal Makkah hi bada zaahid

Hum ishq ke bande hain kyun baat badhai hai

Matla mein yeh shak kya tha wallah Raza wallah

Sirf unki rasai hai sirf unki rasai hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top