MP3 Naat » Junaid Jamshed » Ilahi Teri Chokhat Per

Ilahi Teri Chokhat Per

Download MP3 Ilahi Teri Chokhat Per by famous artist Junaid Jamshed. Ilahi Teri Chokhat Per is one of the High-quality MP3 s By Junaid Jamshed. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Ilahi Teri Chokhat Per” .

Ilahi Teri Chokhat Per hamd MP3 Download
hamd NameIlahi Teri Chokhat Per
CategoriesJunaid Jamshed
FormatAudio MP3 (320kbps)
To download this best MP3 hamd, you can do the following:
  1. Please click the three vertical dots on the mp3 player and then download.
  2. Alternatively, Click on the download button shown above. The file will be automatically downloaded.
  3. Download Ilahi Teri Chokhat Per

Feel free to explore the beauty of this hamd through its profound rendition and meaningful lyrics.

Ilahi Teri Chokhat Per hamd Lyrics


Zahir ki ankh se na tamasha kare koi,

Ho dekhna to deeda-e-dil wah kare koi,

Parh bethay kiya samajh ker bhala toor per kaleem

Takkat ho deed ki to taqaza kare koi

Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon,

Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,

Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon,

Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,

Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai,

Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai,

Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker.

Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent chadwa ker,

Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein,

Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein,

Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda,

Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda,

Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki,

Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki.

Khulasa yeh ke bus jull bhun ker apni roo-sayahi sey,

Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey,

Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali,

Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali,

Yeh Tera ghar hai ye Tere mehr ka darbar hai Maula

Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola.

Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon,

Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon

Zuban ghalt-e-nadamat dil ki na’kas tarjumani per,

Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per,

Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata,

Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata.

Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon,

Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,

Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top