MP3 Naat » Mahmood Ul Hassan Ashrafi » Sahar Ka Waqt Tha

Sahar Ka Waqt Tha

Download MP3 Qaseeda Burda Sharif Sahar Ka Waqt Tha by renowned artist Mahmood Ul Hassan Ashrafi. Sahar Ka Waqt Tha is one of the High-quality MP3 Qaseeda Burda Sharifs By Mahmood Ul Hassan Ashrafi. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Sahar Ka Waqt Tha” Qaseeda Burda Sharif.

Sahar Ka Waqt Tha Qaseeda Burda Sharif MP3 Download
Qaseeda Burda Sharif NameSahar Ka Waqt Tha
CategoriesMahmood Ul Hassan Ashrafi
FormatAudio MP3 (320kbps)
To download this Superb MP3 Qaseeda Burda Sharif, you can do the following:
  1. Please click the three vertical dots on the mp3 player and then download.
  2. Alternatively, Click on the download button shown above. The file will be automatically downloaded.
  3. Download Sahar Ka Waqt Tha

Feel free to explore the beauty of this Qaseeda Burda Sharif through its Passionate rendition and meaningful lyrics.

Sahar Ka Waqt Tha Qaseeda Burda Sharif Lyrics


Sahar Ka Waqt Tha Masoom Kaliyan Muskurati Thin

Hawayen Khair Maqdam Ke Tarane Gungunati Thi

Abhi Jibril (as) Bhi Utre Na Then K’abe Ke Member Se

Ke Itne Me Sada Aayi Hai Abdullah Ke Ghar Se

Mubarak Ho Shahe Har Dusra Tashreef Le Aye

Mubarak Ho Mohammad Mustafa (saw) Tashreef Le Aaye

Maula Ya Salli Wasalim Da-Iman Abadan

‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli Hi Mi

Muhammad Un Sayyidul Kawnaini Wa-Thakalain

Wal-Faree Qaini Min Urbin Wa Min-Ajami

Na Koi Aap Jaisa Hai

Na Koi Aap Jaisa Tha

Koi Yusuf (as) Se Poochhe

Mustafa (saw) Ka Husn Kaisa Tha

Zameen-o-aasman Me

Koi Bhi Misal Na Mili

Maula Ya Salli Wasalim Da-Iman Abadan

‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli Hi Mi

Durud Un Par Salam Un Par

Yehi Kehana Khuda Ka Hai

Khuda Ke Baad Jo Hai

Martaba Salle ‘ala (saw) Ka Hai

Wahi Sardar-e-‘alam Hain

Wahi Gham Khawar Ummat Hain

Wahi To Hashr Ke Maidan Me

Sab Ki Shifa’at Hain

Shifa’at Ke Liye Sab Ki

Nazar Un Par Lagi Hogi

Maula Ya Salli Wasalim Da-Iman Abadan

‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli Hi Mi

Salam Us Par Ke Jisne

Bekason Ki Dastagiri Ki

Salam Us Par Ke Jisne

Badshahi Me Faqeeri Ki

Salam Us Par Ke Jiske

Ghar Na Chandi Thi Na Sona Tha

Salam Us Par Ke Toota Boriya

Jiska Bichhona Tha

Salam Ae Aamna Ke Laal

Ae Mahboob Subhani

Salam Ae Fakhr-e-maujoodat

Fakhr-e-nuye Insani

Teri Soorat Teri Seerat

Tara Naqsha Tera Jalwa

Tawassum Guftugu Banda

Nawazi Khalqat-e-shani

Tera Dar Ho Mera Sar Ho

Mera Dil Ho Tera Ghar Ho

Tamanna Mukhtasar Si Hai

Magar Tamhid Qurani

Maula Ya Salli Wasalim Da-Iman Abadan

‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli Hi Mi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top