Download the MP3 Noha Hamara Pehla Imam by well known artist Mesum Abbas. Hamara Pehla Imam is one of the best MP3 Nohas By Mesum Abbas. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Hamara Pehla Imam” Noha.
Hamara Pehla Imam
Noha Name | Hamara Pehla Imam |
---|---|
Categories | ManqabatMesum AbbasNoha |
Format | Audio MP3 (320kbps) |
Feel free to explore the beauty of this Noha through its heartfelt rendition and meaningful lyrics.
Hamara Pehla Imam Noha Lyrics
Salam Ya Ali Salam Ya Ali
Khuda Nay Bhajay Hain Jis Par Drood O Salam
Shaheed Aaj Hua Hai Hamara Pehla Imam
Imam Aisa Jo Allah Ka Iraada Hai
Imam Aisa Jo Zaujay Janabe Zehra Hai
Imam Aisa Jo Pyaare Nabi Ka Saya Hai
Imam Aisa Jo Hasnain Ka Bhi Baba Hai
Hai Uss Imam Ki Duniya Mai Aaj Akhri Shaam
Hussaini Maaon Ne Bachon Ko Apne Samjhaya
Ali Ke Qatl Ke Ye Din Hain Misle Ashoora
Libaas e Sog Pehen Kar Bichao Farshe Aza
Ye Din Vo Hain Ke Khushi Bhi Haram Hai Beta
Ye Din Vo Hain Ke Khushi Bhi Haram Hai Beta
Guzaaro Girya o Zaari Mai Apne Subho Shaam
Zamaana Laakh Mukhaalif Ho Ye Bataana Hai
Kisi Bhi Haal Mai Yom e Ali Manana Hai
Aza Ke Lafz Ki Hurmat Ko Bhi Bachana Hai
Ke Jaan Deke Bhi Farshe Aza Bichana Hai
Ke Jaan Deke Bhi Farshe Aza Bichana Hai
Phir Agle Saal Kahainge Ali Ke Saare Ghulaam
Ajeeb Gham Ka Ye Mah e Sayaam Aya Hai
Ali Ke Qatl Ka Samaan Saath Laaya Hai
Nabi Ko Qabr Mai Jisne Lahu Rulaya Hai
Ali Ke Bachon Ne Daaghe Yateemi Paya Hai
Ali Ke Bachon Ne Daaghe Yateemi Paya Hai
Ali Ke Shiyon Mai Barpa Hai Dard Se Kohraam
Namak Khujoor Se Iftaar Karne Wala Imam
Fida Rasool Pe Gharbaar Pe Karne Waala Imam
Udu e Deen Pe Yalghaar Karne Wala Imam
Khuda Ke Bando Se Hi Pyaar Karne Wala Imam
Khuda Ke Bando Se Hi Pyaar Karne Wala Imam
Ali Se Pyaar Hai Jisko Parhega Vo Ye Kalam
Tamaam Karke Tahajjud Khuda Ka Shair Chala
Phir Apne Ghar Se Chala Suye Masjid e Kufa
Jagaake Apne Hi Qaatil Ko Ye Ali Ne Kaha
Jo Kaam Karne Ko Aya Hai Kyun Nahi Karta?
Ye Kehke Mola Mera, Namaz Parhne Laga,
Hui Jo Pehli Rakat, Laeen Uqab Se Barha
Chalayi Taigh e Jafa, Shigaaf Sar Ko Kiya,
Namazi Ronay Lagay, Ali Ki Aayi Sada
Fuzto Be Rabbil Kaaba, Fuzto Be Rabbil Kaaba
Bujhi Thi Zeher Mai Talwaar Uss Sitamgar Ki
Shigaaf Karte Huay Sar Jabeen Tak Utri
Khabar Ye Khaana e Zehra Mai Jis Ghari Pohonchi
Hasan Hussain Se Zainab Tarap Ke Kehne Lagi
Falak Se Aaya Hai Jibreel Ka Ye Kaisa Payaam
Jahan Ko Dete Hain Paighaam Mesum o Mazher
Nahi Qayamat e Sughra Se Kam Ye Gham Dilpar
Ali Ke Sog Mai Farshe Aza Bichay Ghar Ghar
Hameysha Bhejiye Lanat Bhi Ibne Muljim Par
Hameysha Bhejiye Lanat Bhi Ibne Muljim Par
Iss Ek Baat Pe Takmeel Paa Chuka Hai Kalam
Allahuma Laan Qatalata Ameerul Momineen