MP3 Naat » Mesum Abbas » Zainab Ka Baba

Zainab Ka Baba

Download MP3 Noha Zainab Ka Baba by famous artist Mesum Abbas. Zainab Ka Baba is one of the Top-notch MP3 Nohas By Mesum Abbas. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Zainab Ka Baba” Noha.

Zainab Ka Baba Noha MP3 Download
Noha NameZainab Ka Baba
CategoriesMesum AbbasNoha
FormatAudio MP3 (320kbps)
To download this Remarkable MP3 Noha, you can do the following:
  1. Please click the three vertical dots on the mp3 player and then download.
  2. Alternatively, Click on the download button shown above. The file will be automatically downloaded.
  3. Download Zainab Ka Baba

Feel free to explore the beauty of this Noha through its Deep rendition and meaningful lyrics.

Zainab Ka Baba Noha Lyrics


Aaj Ghar Ghar Mai Matam Bapa Hai

Qatl Zainab Ka Baba Hua Hai

lab pe jibreel ke ye buka hai…

1. kaale kapron mai hain aaj ahle aza

hai labon par sada ya ali eliya

nauhakhwani kaheen aur kaheen marsiya

saare alam mai gham ki fiza hai

2. majlison aur julooson mai zikr e ali

rozadaro ki ankhon me gham ki nami

burhe bache jawaan hain sabhi matami

rozadaro ke lab par sada hai

3. kale parcham uthaate huay sar ba sar

shahrahon pe nikle sabhi nauhagar

ek majlis se hai doosri ka safar

haan ye mauhol batlaaraha hai

4. rozadaro ke kandho pe taboot hai

sab hain khooni qaba aur rote huay

ya ali ya ali ki jo awaaz hai

har azadar ye keh raha hai

5. roke kehte hain hasnain sar peet kar

aayi uneesween ki ye kaisi sahar

dekha jaata nahi baap ka zakhmi sar

qabr e zehra mai aaho buka hai

6. roz raaton ko khaana khilaata tha jo

sab yateemo ke gham ko mitaata tha jo

ab nahi aayega roz aata tha jo

ye sitam bekason par kiya hai

7. baap ke gham me roti hain saidaniya

khaak uraati hain kehti hain sab betiyan

zindagi bhar karainge yoon aaho fughaan

ye qayamat ka gham jo mila hai

8. farshe majlis pe mesum ye nauha karo

jo masayib hain mazhar vo likhte raho

bibi zahra ko ashkon se pursa bhi do

bus ye aghaz e karbobala hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top