Download the MP3 Noha Karbala Janay Walon by great artist Mir Hasan Mir. Karbala Janay Walon is one of the Top MP3 Nohas By Mir Hasan Mir. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Karbala Janay Walon” Noha.
Karbala Janay Walon
Noha Name | Karbala Janay Walon |
---|---|
Categories | Mir Hasan MirMir Jawad MirNoha |
Format | Audio MP3 (320kbps) |
Feel free to explore the beauty of this Noha through its Emotional rendition and meaningful lyrics.
Karbala Janay Walon Noha Lyrics
Karbala Jane Walo, Karbala Jane Walo.
Jane Walo Dar-e-Abbas Pe Jab Tum Jana.
Yeh Areeza Mere Maula Ko Suna Kar Aana.
Karbala Jane Walo, Karbala Jane Walo.
Jane Walo Dar-e-Abbas Pe Jab Tum Jana.
Yeh Areeza Mere Maula Ko Suna Kar Aana.
Sab Se Pehle Unhein Kehna Meri Janib Se Salam.
Phir Yeh Kehna Ke Tarapta Hai Watan Mein Woh Ghulam.
Kuch Nahi Lana Faqat Izn-e-Ziyarat Lana.
Kehna Hashim Ke Qamar Se Yeh Karein Our Karam.
Dekhney Hain Mujhe Rozon Ke Badaltay Parcham.
Iss Baras Mah-e-Azza Mujh Ko Wahin Dikhlana.
Kehna Hazrat Se Wasail Ko Kushada Kar Dein.
Mera Iss Saal Zara Rizq Zyada Kar Dein.
Betiyon Beton Ko Humrah Mujhe Hai Lana.
Karbala Paison Se Jate Nahi Mujh Ko Hai Khabar.
Tum Bulatay Ho Tu Mil Jata Hai Khud Zaad-e-Safar.
Likha Ho Aana Tu Lagta Nahi Ik Bhi Aana.
Chotay Hazrat Se Yeh Kehna Ke Hai Ashor Qareeb.
Yeh Bhi Kehna Ke Kya Iss Saal Bhi Tarpay Ga Ghareeb.
Khon Ka Dena Hai Waan Aa Ke Mujhe Nazrana.
Unn Se Kehna Nahi Mangoon Ga Main Asaish-o-Chain.
Neend Jab Aaye Gi So Jaon Ga Bain Al Haramain.
Kafs Ko Takiya Bana Kar Hai Mujhe So Jana.
Arbaeen Ki Jo Bananey Lagin Fehrist Aaqa.
Naam Mera Bhi Sakina Ke Tasadduq Likhna.
Mujh Ko Bhi Karbala Paidal Hai Najaf Se Jana.
Main Agar Sham Gaya Pehle Tu Bolon Ga Yehi.
Aap Ke Ammo Ne Bhaija Hai Sakina Pani.
Tum Abalfazl Ke Sardab Ka Pani Lana.
Kaisay Zindah Rahi Bin Aap Ke Asghar Ki Behan.
Mar Gayi Par Na Khuli Bachi Ki Gardan Se Rasan.
Pursa Masoom Sakina Ka Hai Deney Aana.
:MIR SAJJAD: Ko Nohay Ka Sila Yeh Dena.
Iss Baras Karb-o-Bala Aaye Ga Jab Woh Maula.
Aap Nazranay Ke Badlay Mein Nazar Aa Jana.