Download the MP3 Noha Mah E Aza Lo Namodar Hua by honoured artist Mir Hasan Mir. Mah E Aza Lo Namodar Hua is one of the best MP3 Nohas By Mir Hasan Mir. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Mah E Aza Lo Namodar Hua” Noha.
Mah E Aza Lo Namodar Hua
Noha Name | Mah E Aza Lo Namodar Hua |
---|---|
Categories | Mir Hasan MirMir Qasim MirNoha |
Format | Audio MP3 (320kbps) |
Feel free to explore the beauty of this Noha through its profound rendition and meaningful lyrics.
Mah E Aza Lo Namodar Hua Noha Lyrics
Hussain (a) Hussain (a)
Hussain (a) Hussain (a)
Arsh Ke Tary Hussain (a)
Zahra (s) Ke Pyare Hussain (a)
Zahra (s) Ke Pyare Hussain (a)
Tum Ho Hamare Hussain (a), Tum Ho Hamare Hussain (a)
Hussain (a.s)
Mahe Azaa, Mahe Azaa Lo Namudar Huwa
Ghar Main Mere Bich Gya Farsh e Azaa
Hussain (a.s) Hussain (a.s)
Mahe E Azaa Lo Namudar Huwa
Ghar Main Mere Bich Gya Farsh e Azaa
Hussain (a.s) Hussain (a.s)
Mahe Azaa Lo Namudar Huwa
Ghar Main Mere Bich Gaya Farsh e Azaa
Jaan o Dil e Fatima (s.a), Jaan o Dil e Fatima (s.a)
Badshah e Karbala, Ban Gaya Mehmaan Mera
Ban Gaya Mehmaan Mera
Ya Hussain (a), Hussain (a) Hussain (a)
Mahe e Azaa Lo Namudar Huwa
Ghar Main Mere Bich Gaya Farsh e Azaa
Falak Pe Phr Se Muharram Ka Chand Nikla Hai
Hussain (a) Walon Ne Kala Libaas pehna Hai
Kahi Per Noha Kahi Par Sada e Giriya Hai
Shah Alaikal Salam, Shah Alaikal Salam
Ae Mere Bekas Imam, Ap Pe Sab Kuch Fida
Ya Hussain (a), Hussain (a) Hussain (a)
Mahe e Azaa Lo Namudar Huwa
Ghar Main Mere Bich Gaya Farsh e Azaa
Kisi Ke Hath Main Abbas (a.s) Ka Alam Hoga
Koi Uthaye Ga Taboot Ibn e Zahra (s.a) Ka
Kahi Se Taziya Kahi Se Jhula Niklay Ga
Hogi Qayamat Bapa
Roen Gy Ahl e Azaa, Shor Hai Ashoor Ka
Ya Hussain (a), Hussain (a) Hussain (a)
Mahe e Azaa Lo Namudar Huwa
Ghar Main Mere Bich Gaya Farsh e Azaa
Galli Galli Main Sabeelon Ka Ehtamam Hai Phr
Dilon Ki Pyas Bujhany Ka Ehtamam Hai Phr
Ghareeb e Zahra (s.a) Ka Jari Labbon Par Naam Hai Phr
Aa Ke Sabeelon Ke Pass, Jo Bhi Bujhata Hai Pyas
Deta Hai Dil Se Sada, Hussain (a.s)
Haan Mujrae Jab Ke Ayaaan,
Mahe Azaa Hota Hai
Arsh Par Matame
Shah e Shohda Hota Hai
Har Anjuman Main Hai Seena Zani Ki Taiyari
Han Aik Naam Hai Sab Ki Zuban Par Jari
Tazeem Tarz Par Hoti Hai Phir Azadari
Taziey Khanay Khule
Han Taziey Khanay Khule, Matami Shany Khule
Hota Hai Matam Bapa, Hota Hai Matam Bapa
بابی انت و امی یا حسین
Kehta Hai Har Dil Yahi
Hon Mere Maa Baap Bhi
Ap Pe Mola Fida, Ap Pe Mola Fida
Ya Hussain (a), Hussain (a) Hussain (a)
Mahe e Azaa Lo Namudar Huwa
Ghar Main Mere Bich Gaya Farsh e Azaa
Tabarukaat Ke Sandooq Laey Jatay Hain
Alam Par Pharerey Sajaye Jaty Hain
Sabeel Lagti Hain Saqqy Banaye Jatay Hain
Le Ke Shaheedon Ke Naam, Le Ke Shaheedon Ke Naam
Bat'tay Hain Pani Ke Jaam, Dete Hain Pyase Dua
Ya Hussain (a), Hussain (a) Hussain (a)
Mahe e Azaa Lo Namudar Huwa
Ghar Main Mere Bich Gaya Farsh e Azaa
Kro Hussain (a.s) Ka Matam Kro Azadari
Furat Ankhon Se Jari Ho Aisay Ashkon Ki
Ke Khali Hath Naa Jaye Rasool Ki Beti
Hath Main Rumaal Hai, Maa Ka Ajab Haal Hai
Deti Hain Bibi Dua, Deti Hain Bibi Dua
Ya Hussain (a), Hussain (a) Hussain (a)
Mahe e Azaa Lo Namudar Huwa
Ghar Main Mere Bich Gaya Farsh e Azaa
Alam Pe Mashk e Sakina (s.a) Saja Ke Rote Hain
Kisi Ko Dhoop Main Pani Pila Ke Rote Hain
Kabhi Kisi Ko Tabarruk Khila Ke Rote Hain
Naam Idr Agya
Naam Idr Agya, Sayyed e Mazloom ka
Ankh Se Dariya Baha, Ankh Se Dariya Baha
Ya Hussain (a), Hussain (a) Hussain (a)
Mahe e Azaa Lo Namudar Huwa
Ghar Main Mere Bich Gaya Farsh e Azaa
Huwy Hain Khalq Takallum Iss Hum Iss Azaa Ke Liye
Hamari Qoam Ke Bachay Ghulam Asghar (a.s) Ke
Jawan Sab Ali Akbar (a.s) Ke Naam Ke Sadqay
Baba Zahoor e Imam, Roen Ge Ye Khas O Aam
Wada Hai Iss Qoam Ka, Wada Hai Iss Qoam Ka
Ya Hussain (a), Hussain (a) Hussain (a)
Mahe e Azaa Lo Namudar Huwa
Ghar Main Mere Bich Gaya Farsh e Azaa