Download the MP3 Noha Sughra Se Mila Do by renowned artist Shabih Abbas Arfi. Sughra Se Mila Do is one of the Top-notch MP3 Nohas By Shabih Abbas Arfi. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Sughra Se Mila Do” Noha.
Sughra Se Mila Do
Noha Name | Sughra Se Mila Do |
---|---|
Categories | NohaShabih Abbas Arfi |
Format | Audio MP3 (320kbps) |
Feel free to explore the beauty of this Noha through its Emotional rendition and meaningful lyrics.
Sughra Se Mila Do Noha Lyrics
Sughra se mila do..(2)
Beemar behan ka mujhe, chehra hi dikha do
baba, baba, sughra se mila do
Sughra se mila do..(4)
1. Ye baat hai sadd gham ki ghata chhayi hai mujhpar
phal barchi ka toota hai mere seene ke andar
aye baba na bach payega ab aapka akbar
beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do
2. Aata hai mujhe yaad madine ka wo manzar
mai aaunga aaya tha ye beemar se keh kar
ab kehna hai jaa karta hai ye tera baradar
beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do
3. Kya haal hai bhai ki judaai mein bahan ka
hai kaun khabar geer khudai mein bahan ka
maloom hai dil rehta hai bhai mein bahan ka
beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do
4. Majboor hai maghmoom hai beemaar hai baba
sughra bhare kunbe ki azadaar hai baba
wo meri mohabbat mein giraftaar hai baba
beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do
5. Kya uspa guzarti hai bata dijiye mujhko
surat meri khwahar ki dikha dijiye mujhko
mumkin ho to aawaaz suna dijiye mujhko
beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do
6. Tum aye labe dam jaan to ab khota hu baba
mai maut ki aaghosh mein ab sota hu baba
lekin mai pareshaan bohot hota hu baba
beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do
7. Do ungliya sheh ne jo uthayi sare maidaa'n
hamsheer nazar aayi madine me pareshaan
sarwar ne kaha ab nahi kehna ye meri jaan
beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do
8. Akbar ke sharal dilpa yaka yak huwa sadma
rukne lagi saas aur mutaghayyar hua chehra
karte hue band aankh kaha ab na kahunga
beemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do