Download the MP3 Naat Wo Dhupo Me Tapti Zameeno Pe Sajde by well known artists Shaz Khan & Sohail Moten. Wo Dhupo Me Tapti Zameeno Pe Sajde is one of the Superb MP3 Naats By Shaz Khan & Sohail Moten. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you can read the lyrics of “Wo Dhupo Me Tapti Zameeno Pe Sajde” Naat.
Wo Dhupo Me Tapti Zameeno Pe Sajde
Naat Name | Wo Dhupo Me Tapti Zameeno Pe Sajde |
---|---|
Categories | Shaz Khan |
Format | Audio MP3 (320kbps) |
Feel free to explore the beauty of this Naat through its heartfelt rendition and meaningful lyrics.
Wo Dhupo Me Tapti Zameeno Pe Sajde Naat Lyrics
Allah Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah Allah
Wo dhoopon me tapti zameenon pe sajde
Safar me wo ghodon ki zeenon pe sajde
Chattanon ki unchi jabeenon pe sajde
Wo sehra bayaban ke seenon pe sajde
Halalat pe sajde museebat me sajde
Wo faqon me hajat me ghurbat me sajde
Wo jangon jadal me harasat me sajde
Laga teer zakhmon ki halat me sajde
Wo gharon ki wahshat me purnoor sajde
Wo khanjar ke saye me masroor sajde
Wo raton ko khalwat se maamoor sajde
Wo lambi rakaton se mashoor sajde
Wo sajde muhafiz madadgar sajde
Ghamon ke moqabil ‘atardar sajde
Najaat aur bakhshish ke salar sajde
Jhuka sar to bante the talwar sajde
Wo sajdon ke shauqeen ghazi kahan hain
Zameen poochhti hai namazi kahan hain
Zameen poochhti hai namazi kahan hain
Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Hamare bujhe dil se bezar sajde
Khayalon me uljhe huye char sajde
Musallen hain resham ke beemar sajde
Chamakti deewaron me laachar sajde
Riyakar sajde nadar sajde
Benoor bezauq murdar sajde
Saron ke sitam se hain sangsar sajde
Dilon ki nahoosat se masmar sajde
Hai mafroor sajde hain maghroor sajde
Hai kamzor be jaan m’azoor sajde
Gunahon ki chakki me hai choor sajde
Ghaseete ghulamon se majboor sajde
Ke sajdon me sar hai bhatakte hain sajde
Sarasar saron par latakte hain sajde
Nigahen khuzu me khatakte hain sajde
Du’aon se daman jhatakte hain sajde
Wo sajdon ke shauqeen ghazi kahan hain
Zameen puchhti hai namazi kahan hain
Zameen puchhti hai namazi kahan hain
Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Chalo aao karte hain tauba ke sajde
Bahut tishnagi se tawajjo ke sajde
Maseeha ke aage madawa ke sajde
Nidamat se sarkham shikasta se sajde
Raza wale sajde wafa wale sajde
Amal ki taraf rahnuma wale sajde
Sarapa adab iltija wale sajde
Bahut ‘ajizi se haya wale sajde
Nigahon ke darban rudar sajde
Wo chehre ki zohra chamakdar sajde
Sarasar badal de jo kirdar sajde
Ke ban jayen jeene ke atwar sajde
Khuzu ki quba me yaqeen wale sajde
Lahad ke makeen hamnasheen wale sajde
Hon Sh’afi ya Mehshar jabeen wale sajde
Hon Sh’afi ya Mehshar jabeen wale sajde
Wo sajdon ke shauqeen ghazi kahan hain
Zameen poochhti hai namazi kahan hain
Zameen poochhti hai namazi kahan hain
Allah Allah Allah Allah Allah Allah