Download MP3 Kalam Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda by renowned artist Syed Hassan Ullah Hussaini. Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda is one of the Greatest MP3 Kalams By Syed Hassan Ullah Hussaini. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda” Kalam.
Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda
Kalam Name | Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda |
---|---|
Categories | KalamSyed Hassan Ullah Hussaini |
Format | Audio MP3 (320kbps) |
Feel free to explore the beauty of this Kalam through its Emotional rendition and meaningful lyrics.
Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda Kalam Lyrics
مدینے کا سفر ہے اور میں نم دیدہ نم دیدہ
جبیں افسردہ افسردہ، قدم لغزیدہ لغزیدہ
Madine ka safar hai aur main namdeeda namdeeda,
Jabeeñ afsurda afsurda, qadam laghzeeda laghzeeda
چلا ہوں ایک مجرم کی طرح میں جانبِ طیبہ
نظر شرمندہ شرمندہ، بدن لرزیدہ لرزیدہ
Chala hooñ ek mujrim ki tarah maiñ janib e taiba,
Nazar sharminda sharminda, badan larzeeda larzeeda
کسی کے ہاتھ نے مجھ کو سہارا دے دیا ورنہ
کہاں میں اور کہاں یہ راستے پیچیدہ پیچیدہ
Kisi ke haath ne mujhko sahara de diya warna,
Kahañ maiñ aur kahan ye raaste pecheeda pecheeda
غلامانِ محمد دور سے پہچانے جاتے ہیں
دلِ گرویدہ گرویدہ، سرِ شوریدہ شوریدہ
Ghulamaan e Muhammad ﷺ door se pehchaane jaate haiñ,
Dil e girveeda girveeda, Sar e shoreeda shoreeda
کہاں میں اور کہاں اس روضہِ اقدس کا نظّارہ
نظر اس سمت اٹھتی ہے مگر دزدیدہ دزدیدہ
Kahañ Main Aur Kahañ us Rauza e Aqdas ka nazzara,
Nazar uss simt uthati Hai Magar duzdeeda duzdeeda
مدینے جا کے ہم سمجھے تقدس کس کو کہتے ہیں
ہوا پاکیزہ پاکیزہ، فضا سنجیدہ سنجیدہ
Madine ja ke Ham samjhe taqaddus kisko kahte Hain,
hawa Paakeeza Pakeeza, faza sanjeeda sanjeeda
بصارت کھو گئی لیکن بصیرت تو سلامت ہے
مدینہ ہم نے دیکھا ہے مگر نادیدہ نادیدہ
Basaarat kho gayi lekin baseerat to salaamat hai
Madina humne dekha hai magar naadeeda naadeeda
وہی اقبؔال جس کو ناز تھا کل خوش مزاجی پر
فراقِ طیبہ میں رہتا ہے اب رنجیدہ رنجیدہ
Wahi Iqbal jisko naaz tha kal khush mizaaji par
Firaq e Taiba meiñ rahta hai ab ranjeeda ranjeeda