Download the MP3 Noha Bibi Zehra Ye Dua Hai by well known artist Syed Nad E Ali Rizvi. Bibi Zehra Ye Dua Hai is one of the Greatest MP3 Nohas By Syed Nad E Ali Rizvi. You can listen to it online or download it in MP3 format (320kbps) from MP3Naat.org. Additionally, you have the option to read the lyrics of “Bibi Zehra Ye Dua Hai” Noha.
Bibi Zehra Ye Dua Hai
Noha Name | Bibi Zehra Ye Dua Hai |
---|---|
Categories | NohaSyed Nad E Ali Rizvi |
Format | Audio MP3 (320kbps) |
Feel free to explore the beauty of this Noha through its profound rendition and meaningful lyrics.
Bibi Zehra Ye Dua Hai Noha Lyrics
Ya fatema, umme abi ha, bint-e-payambar, khayrun-nisaa, ya zehra, ya zehra
Tu hai siddiqa, tu tahira aur tuhi shafi-e-rawze jazaa, ay meri bibi, waqt-e-madad hai, har matami ke dil ke sadaa hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
Dast-e-dua ko jab bhi uthaaya, manga hai teri chadar ka saya, (yazehra) x2 Waqt-e-musibat mei har hussaini bas naam tera, honto pe laaya,ay meri bibi, tang dasht hu mei, ye kehke daman pheylaadiya hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
Wo bibi jiski hai ghaud khali, chawkhat pe teri hai wo sawaali (yazehra) x2 Mujhko bhi dede asghar ka sadqa mene tere dar se lo lagali, aymeri bibi, jin godiyo mei, awlaad hai wo teri ata hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
Jo maaye behne be aasra ho farsh-e-aza par mehwe bukaa ho (ya zehra)x2 Tu unke pardo ki laaj rakhiyo jo teri zainab ki zakira ho, ay meribibi, zinda rahe wo, bhaayi jo behno ka asra hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
Jo tifl rokar parte hai nawha, har aathwi ko bante hai saqqa (yazehra) x2 Har roshni ki hai ye zamaanat, mei har charaagh-e-bazm-e-aza,ay meri bibi, bujhne na paya, awn-o-muhammad ka wasta hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
Jo apne beto ka bhool kar gham, karti ho tere, akbar ka matam (yazehra) x2 un maao ko tu, de sabr bibi wo phir na dekhe awlaad ka gham,ay meri bibi, us maa ko koi gham na ho jisko ye gham mila hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
Hai yaad abtak purdard-e-manzar pyaase ki gardan, zalim ka khanjar(ya zehra) x2 hum tere pyaase bete ka sadqa yu(n) mangte hai farsh-e-azapar, ay meri bibi, abad rakhna wo ghar ke jisme farsh-e-aza hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
Shabbir ki wo mazloom dukhtar, zindaan se jo, na jaa saki ghar (yazehra) x2 Sadqe mei uske, ham par karam kar, bejurm-e-qaydi kehte hairokar, ay meri bibi, ab ye aseeri ho khatm abid ka wasta hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
‘Irfan-o-Mazhar’ ye chahate hai, miljaaye hamko bas ye sa’adaat (yazehra) x2 Jo akhri hai hujjat khuda ki, hojaaye hamko uski ziyaraat, aymeri bibi, ye baat wo hai, jo har hussaini ki iltejaa hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
Aap ke darbar mei, kar qubool uftad